Asamanjas mein hun main ke kya hun !
Kahin kisike haath ka khilauna ?
Ya thaame haath kisika saath hun.
Kahin gum ho gayi ek aawaz ?
Ya haath pakad kar dikhati raah hun.
Asamanjas mein hun main ke kya hun...
Jo chahe keh de koi, Jo soche kar de.
Na saath chale koi...Na tanha bhi chhode koi.
Kahin woh kitaab toh nahi jise padh kar fek de koi,
Ya woh granth hun jo khud baithkar likhe koi ?
Asamanjas mein hun main ke kya hun...
Ek bheege se darakht par lipti foolon ki lata hu,
Ya khud se hi sahara dhundta ek tez hawa mein uda hua chinar ka patta.
Asamanjas mein hun main ke kya hun...
Kahin woh oss ki boond toh nahi, jo raat ke andhakaar mein nami de aur subah hote hi hawa ho jaye...
Ya hun woh tez baarish jo aasmaan se zameen par gir jaye aur antar tak bhiga de kisiko...
No comments:
Post a Comment