Total Pageviews

Wednesday, February 5, 2020

Farq

Iss sheher mein ek farq dekha hai maine,
Apnepan aur paraayon ke beech.

Saturday night aur sunday ki dopeher ke beech;
Ek aam din pe BKC mein chai ki tapri aur weekend pe railway station ke chai wale ke beech...
Iss sheher mein farq dekha hai maine.

Jab kareeb se jaan ne ki koshish ki,
Toh ek khoya khoya sa mann aur usmein bhara dard dekha hai,
Iss sheher mein janab, maine ek farq dekha hai.

Kahan toh bachpan mein sab dost saath khelte the,
Aur cheekh cheekh kar sara mohalla sar pe utha  lete the.
Kahan ab guzar jate hain sabhi ek sophisticated si smile dekar,
Aur apne aap ko ek dusre ka childhood buddy kehkar khush ho lete hain.

Kahan toh woh pehli baarish mein,
Apne gharon se nikal kar chhatt par daud jate the,
Aur kahan ab sabhi ko inhi boondon se bachkar,
Ghar se gaadiyon ki orr bhagte dekha hai.

Iss sheher mein farq dekha hai maine.

Apne logon, makano aur sadkon mein hi nahi,
Par dil ki masoom si khwashishon mein aur unse bane khwabon mein farq dekha hai.